The best charity

The best charity

Daily Hadith ﷺ
Daily hadith

🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

Join Telegram Channel> DailyHadith

🌹‏‏‏‏ حَدَّثَنَا مُوسَى بْنُ إِسْمَاعِيلَ ، حَدَّثَنَا عَبْدُ الْوَاحِدِ ، حَدَّثَنَا عُمَارَةُ بْنُ الْقَعْقَاعِ ، حَدَّثَنَا أَبُو زُرْعَةَ ، حَدَّثَنَا أَبُو هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ , قَالَ : جَاءَ رَجُلٌ إِلَى النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ , فَقَالَ : يَا رَسُولَ اللَّهِ ، أَيُّ الصَّدَقَةِ أَعْظَمُ أَجْرًا ؟ قَالَ : أَنْ تَصَدَّقَ وَأَنْتَ صَحِيحٌ شَحِيحٌ ، تَخْشَى الْفَقْرَ وَتَأْمُلُ الْغِنَى ، وَلَا تُمْهِلُ حَتَّى إِذَا بَلَغَتِ الْحُلْقُومَ ، قُلْتَ لِفُلَانٍ كَذَا ، وَلِفُلَانٍ كَذَا ، وَقَدْ كَانَ لِفُلَانٍ .


🌹एक शख़्स नबी करीम ﷺ की ख़िदमत में हाज़िर हुआ और कहा की या रसूल अल्लाह! किस तरह के सदक़ा में सबसे ज़्यादा सवाब है? आप ﷺ ने फ़रमाया की उस सदक़े में जिसे तुम सेहत के साथ बख़ील (कंजूस) होने के बावजूद करो। तुम्हें एक तरफ़ तो फ़क़ीरी का डर हो और दूसरी तरफ़ मालदार बनने की तमन्ना और उम्मीद हो और (इस सदक़े ख़ैरात में) ढील नहीं होनी चाहिए कि जब जान हलक़ तक आ जाये तो उस वक़्त कहने लगे कि फ़ुलां के लिए इतना और फ़ुलां के लिए इतना हालाँकि वो तो अब फ़ुलां का हो चुका।


🌹Ek shakhs nabi kareem ﷺ ki khidmat mein haazir hua aur kaha ke ya rasool Allah! kis tarah ke sadqe mein sab se zeyada sawab hai? aap ﷺ ne farmaya ke us sadqe mein jise tum sehat ke sath bakheel (kanjoos) hone ke bawajood karo, tumhe ek taraf to faqeeri ka dar ho aur doosri taraf maldaar ban ne ki tamanna aur umeed ho aur ( is sadqr khairaat mein ) dheel nahi honi chahiye ke jab jaan halaq tak aa jaye to us waqt kehne lage ke falan ke liye itna aur falan ke liye itna halan ki woh to ab falan ka ho chuka.


🌹ایک شخص نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم کی خدمت میں حاضر ہوا اور کہا کہ یا رسول اللہ! کس طرح کے صدقہ میں سب سے زیادہ ثواب ہے؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ اس صدقہ میں جسے تم صحت کے ساتھ بخل کے باوجود کرو۔ تمہیں ایک طرف تو فقیری کا ڈر ہو اور دوسری طرف مالدار بننے کی تمنا اور امید ہو اور (اس صدقہ خیرات میں) ڈھیل نہ ہونی چاہیے کہ جب جان حلق تک آ جائے تو اس وقت تو کہنے لگے کہ فلاں کے لیے اتنا اور فلاں کے لیے اتنا حالانکہ وہ تو اب فلاں کا ہو چکا۔


🌹A man came to the Prophet ﷺ and asked, O Allah's Apostle! Which charity is the most superior in reward? He replied, The charity which you practice while you are healthy, niggardly and afraid of poverty and wish to become wealthy. Do not delay it to the time of approaching death and then say, 'Give so much to such and such, and so much to such and such.' And it has already belonged to such and such (as it is too late).


📜 *wazahat:* hadees ka maane yeh hai ke: ghaliban hirs (khwahish/chahat) sahet aur tandrusti ki haalat mein hoti hai, lehaza jab woh maal ki hirs rakhe aur sadqa kare to uski niyat mein zeyada Sadqa aur zeyada ajro sawab ka baais hoga, bakhalif iske jo shakhs mout ke kinare pohoch chuka ho aur zindagi se mayoos hogaya aur dekha ke iska maal dusron ko milne wala hai to us waqt uska kiya huwa sadqa sahet ki haalat ke banisbat naaqis hai, aur hirs baki rehne ki ummeed aur fiqr ka khauf hai, sahet aur hirs ki haalat mein kiye hue sadqe ki banisbat wasiyat mein usay itna ajro sawab haasil nahi hoga.

Yaa dusre alfazon mein yu kehle, sahet aur zindagi ki haalat mein karz ki adayegi aur sadqa karna mout ke baad aur bimari mein karne se afzal hai kyunke sahet aur tandrusti ki haalat mein maal nikalna ghaliban mushkil hota hai, kyunke usay shaitan darata aur lambi umar ke amkan ko mazeen karata hai, aur usay waswasa daalta hai ke usay maal ki zaroorat hai.


📚 _*Bukhari sharif: jild-2, kitab-az-zakat 24, hadith no. 1419*_


●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

Join Telegram Channel> DailyHadith
📲 *JOIN WHATSAPP* *+918630392791*

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

Report Page