Spread Salaaaam... 🤗

Spread Salaaaam... 🤗

Daily Hadith ﷺ

🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••

🌹حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ يَحْيَى بْنِ فَارِسٍ الذُّهْلِيُّ،‏‏‏‏ حَدَّثَنَا أَبُو عَاصِمٍ،‏‏‏‏ عَنْ أَبِي خَالِدٍ وَهْبٍ،‏‏‏‏ عَنْ أَبِي سُفْيَانَ الْحِمْصِيِّ،‏‏‏‏ عَنْ أَبِي أُمَامَةَ،‏‏‏‏ قَالَ:‏‏‏‏ قال رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏ إِنَّ أَوْلَى النَّاسِ بِاللَّهِ مَنْ بَدَأَهُمْ بِالسَّلَامِ .


🌹रसूल अल्लाह ﷺ ने फ़रमाया: अल्लाह के नज़दीक सबसे बेहतर शख़्स वो है जो सलाम करने में पहल करे।


🌹Rasool Allah ﷺ ne farmaya: Allah ke nazdeek sab se behtar shakhs woh hai jo salaam karne mein pehel kare.


🌹رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اللہ کے نزدیک سب سے بہتر شخص وہ ہے جو سلام کرنے میں پہل کرے۔


🌹The Messenger of Allah (ﷺ) said: Those who are nearest to Allah are they who are first to give a salutation (salaam).


📜 *wazahat:* iss hadees se maloom hua ke Allah se jiska zeyada lagao aur talluk hoga usme tawazeh, khaksari aur buland akhlaaq bhi zeyada payi jayegi, isliye wo shakhs pehle salaam karega. Aksar muashre mein ek chiz aam ho gayi hai ke kamtar shakhs maldaar ko pehle salam kare, yaa chhote badon ko pehle salaam kare, nahi to dono shakhs salam karne se mehroom reh jaate hain, *Hazrat anas bin malik ra farmate hain ki jab nabi kareem ﷺ bachho ke Paas se guzarte to unhe salam karte* [📗Bukhari: 6247]. Wahi ek dusri rewayat mein aap nabi kareem ﷺ ne salam ke adab ke talluk se farmaya: *chhota bare ko salam kare, guzarne wala bethne wale ko salaam kare aur choti jamaat bari jamaat ko pehle salaam kare* [📗Bukhari: 6231].


📚 _*Sunan Abi dawud: jild 4, kitab Al-Adab 43, hadith no. 5197*_

*Grade: Sahih*


●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

Iالعربية/हिन्दी/Roman english/اردو/English mein hadees pane ke liye~

📲 *JOIN WHATSAPP

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

Report Page