Hame Allah Kafi He

Hame Allah Kafi He

SR

Allah par bharosa karna, uske vado par yakin, uske sath achchha guman rakhna, uske faisle ko man-lena, aur ye yakin karna ki vo asani paida karega, ye chize iman ke bade-phal (sawab) aur momino ki behtarin adato me se he, jab banda achchhe anjam se mutmain ho jata he, aur apne har mamle me apne rab par bharosa karta he to allah ki madad, taraf-dari aur nusrat ka mustahik ho jata he.

hazrat ibrahim (al) ko aag me dala gaya to farmaya, hame allah kafi he jo behtarin sahara he, chunache allah ne aag ko unke liye bagicha bana diya, nabi ﷺ aur sahaba (rd) ko kafiro ke lashkaro se daraya gaya to aap ne farmaya, hame allah kafi he vo behtarin sahara he, chunache allah ne apni nemat aur fazal se navaza, unhe taklif nahi pohachi, unhone allah ki razamandi hasil karli, aur allah bade fazal vala he, insan akela hadso se nahi lad sakta, na musibato aur mushkilo ka samna kar sakta he kyuki vo fitri taur par kamzor paida kiya gaya he, ha agar vo apne rab par bharosa kare, apne mamlat uske havale kar de to sab kuchh kar sakta he, agar ye na ho to un bebas aur lachar bande ke kaam koi tadbir nahi ayegi jab is par musibate aur mushkile aa pade, aur sirf allah par bharosa karo agar tum momin ho.

jo log apna bhala chahate he unhe allah par bharosa karna chahaye jo takatvar or gani he, zabardast kuvvat vala he vohi unhe mushkilo se nikal sakta he, taklifo se bacha sakta he lihaza hasbunallahu va niamal vakil, ko jaan se ziyada badhkar pyara bana lijiye, agar apka maal kam ho jaye, karz badh jaye, amdani kam ho jaye to pukarye, hasbunallahu va niamal vakil, jab aap ko kisi dushman ka khauf ho kisi zalim se dar lage, kisi achanak ki aafat se ghabra gaye to pukarye hasbunallahu va niamal vakil, aur tumhara rab kafi he madad aur kam banane ke aitebar se.

Havala: Gam Na Kare, Mol. Aaidh Abdullah Qarni

Report Page