🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳

🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳

HINDUSTAN SE ISLAM AUR MUSALMANO KA TA'ALLUQ

🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳


⭕AAJ KA SAWAL NO.906⭕


♻Hindustan se islam aur musalmano ka kya ta'alluq raha hai aur muslaman is sar zameen se kyun muhabbat karte hai ?


Musalman Hindustan ko unke baapdada ka desh kyun kehte hai ?


🔵JAWAB🔵


حامدا و مصلیا و مسلما


Hindustan se hame muhabbat honi chahiye aur yeh hamaare baap-dada ki sar zameen hai is ki kai wujuhaat hai.


🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳

HINDUSTAN MUSALMANO KE LIYE PARAAYA MULK YA AJNABI ZAMEEN NAHIN HAI, YAHAAN PAYGAMBAR [علیہ السلام ] SE LEKAR UNKE BAAP DAADA DAFAN HUE HAIN. 


🇮🇳Puri duniya ke musalmano ka yeh aqeeda [shradhdha] hai ke insaan ki zaat ke paida hone ki ibteda [shuruaat] hazrat Aadam [علیہ السلام ] se huwi hai, duniya me jitney insaan guzar gaye aur jo haal me [abhi] hai, usme gorey ho ya kale, Hindustani ho ya afriqi, America Europe ke rehne wale, arab ho ya angrez, ye tamaam insaan hazrat aadam [علیہ السلام ] ki aulaad me se hai, islaam mazhab ka ye aqeeda hai, aur Christian aur yahudi ka bhi yahi aqeeda hai, musalmaan hazrat aadam [علیہ السلام ] ko unke dada maante hai, isliye unke dada ka jo watan tha wo hee watan muslamano ka aslee watan hai, hindustaan jaise badey mulk me Allah ta’ala ne apne kisi khaas paygambar ko zarur bheja hoga,  


🇮🇳Aaiye, hum aisi kuchh chizon par gour kare jisse ye pataa chalta hai ke Hindustan ki puratan kaal [ibtedai zamane] se chali aa rahi jaaho jalaali kaisi thi.  


1. allama ibnne kaseer ne apni tafseer me likha hai ke suddee Rahmatullahi alayhi ka farmate hai Hz. Aadam [علیہ السلام ] jannat me se Hindustan ki zameen par utre, wahan aap ke sath ‘’hajre aswad’’ aur jannat ke darakht ke kuchh patte the.un patton ko adam علیہ السلام ne jannat me se nikaale jane ki wajha se afsos karte huwe dabaya to Us me se khushbu paida hui Aur us patte ko hindustan me fela diye usee se khushbu dar darakht paida huwe (ood ki khushbu ki asal yahi hai)

(TAFSEERE IBNE KASEER JILD 1 SAFA 102)

2. hazrat aayesha siddiqa [رضی اللہ تعالٰی عنہ ] unki riwayat me bayan kar ke farmati hai ke: Hz. Aadam [علیہ السلام ] ‘’Sinhaldeep” yani “Lanka” ke pahaad par utre aur Maa Hawwa [al.] “Jiddah” me utre the, hz. Aadam [علیہ السلام ] bahot lambe arse tak Maa Hawwa [علیہ السلام ] ki talaash karte rahe, “Muzdalifa” jagah par dono ka milaap huwa, uske baad Allah ke hukm se hz. Aadam [al.] ne Khana e kaaba ki taameer ki, aur Hindustan me aakar rehne lage

 hz. Aadam [علیہ السلام .] ki aulaaad me hz.Shees [علیہ السلام .] bhi the, aap ki mazaar Mubarak “Ayodhya” Faizabaad me hone ka bataya jata hai, 

ek riwayat ye bhi hai ke, hz. Aadam [علیہ السلام .] ne Hindustan se 40 haj paidal kiye the.tareekhee

riwayaton ye niche likhi gayi chizen saabit hoti hai,  


1⃣. HINDUSTAN: Allah ke sab se pehle paygambar hz. Aadam [علیہ السلام ] ne jahaan qadam rakha wo zameen hai.  


2⃣. hz. Aadam [علیہ السلام ] Nabi the, is liye sab se pehle nubuwwat ka suraj Hindustan me tulu’a huwa.


3⃣. duniya me sab se pehle “Ruhul Quddus” hz. Jibraeel [al.] sab se pehle Hindustan me naazil huwe the.yani sab se pahli wahee-allah taala ka farman hindustan me utra 


4⃣. ibne asaakar [rh.] ne hz. sa’ad (رضی اللہ تعالٰی عنہ ) ke hawale se likha hai ke, Allah ta’ala ne hz. Aadam [علیہ السلام] ke liye ‘’Dahnaa’’ ki mitti li thi, research Karne walon ka bayaan hai ke ‘’Dahnaa” Hindustan ka hi koi maqaam hai.

(Taarikhe dimashq 7/437)


5⃣. hz. Ibne abbas [رضی اللہ تعالٰی عنہ] se riwayat hai ke: Allah ta’ala ne aadam ki qayamat tak paida hone wali awlaad se jo “Ahad e Alast”(me tamam insaan ka rab-khuda hun) liya tha, wo bhi Dahnaa maqaam par liya tha.  


6⃣.Hazrat Muhammad sallallahju alayhi wasallam ka paak noor hz. Aadam [علیہ السلام ] ke saath Hindustaan me roshan huwa.  


7⃣. Tabrani,abu naeem aur ibne asaakir ne hz. Abu huraira [رضی اللہ تعالٰی عنہ ] se riwayat hai ke hz. Aadam [علیہ السلام ] duniya me aa kar AkelePan ki wajah se bahot dukhi aur gamgeen the, Allah ke hukm se hz. Jibraeel [علیہ السلام ] aap ko himmat dene aaye aur azaan padhani shurooa ki, us waqt “Muhammad” ka tazkirah sun kar ghbrahat door ho gai aur sukoon hasil huwa hz. Aadam [علیہ السلام ] ne puchha ke “Muhammad” kon hai..? 

Hz. Jibraeel [علیہ السلام] ne kaha ke aap ki aulaad me se aakhri tamam insanon ke nabi hai,

(GULDASTAH E TAFAASIR HISSA 1 SAFA 175)

Is riwayat par se ye saabit huwa ke, duniya me sab se pehle Allah aur rasul صل اللہ علیہ وسلم ka naam Hindustan me buland kiya gaya, is zameen par hz. Aadam [علیہ السلام ] ko “Khatimul anbiya” sallallahu alahi wasallam ki nubuwwat ki khabar di gayi.yani islaam ki dawat aur us ki shurooaat isee sarzameen par hui


8⃣. Tabrani aur dalaaile nubuwwah ki kitaabon se ye baat pataa chalti hai ke, Hindustan ki zameen ne taamam duniya se pehle jannat ki ne’amaton se faaidah haasil kiya hai, yahin ‘’hazre aswad” utra, yahin jannat ke darakhton ke patte utre aur yahin jannat ke fal naazil huwe.ibne haatim ne riwayat ki hai ke tarah tarah beej bhi jannat se laaye


9⃣. allama bayhaqee aur ibne asaakar ki riwayat me aaya hai ke, Allah ta’ala ne hz. Aadam [علیہ السلام ] ko har cheez ke kaam karne ka tariqah sikhaya tha, ye ta’alim qudrati ilhaam (allah ki taraf se dil me dalkar) di gayi thi, shaikh al roomi rh. Likhte hai ke aisee kaarigari (hunar) ki ta’adaad ek hazaar thi, isi liye hindustaan ki kalaa-hunar ke kaarigiro ko duniya me ‘’Ustaad” (hunar ke maahir) ke naam se pehchana jaata hai.


🔟. ibne asaakir aur ibne abid dunya ne ali رضی اللہ تعالٰی عنہ se riwayat se likha hai ke, hz. Aadam [علیہ السلام] duniya me utre usse pehle duniya me sone-chaandi ka naamo nishaan bhi nahi tha, Haq Ta’ala ne apni Qudrat se sonaa chaandi ko paida kiya aur Allah ke karam se Hindustan sone chaandi aur qeemtee jawahiraat ka khazana hai,ye tamaam barkaten hz. Aadam [علیہ السلام ] ki duaao ki barkat se hai.


1⃣1⃣. jis waqt hz. Aadam [علیہ السلام] jannat me se Hindustan ki zameeen par utaare gaye us waqt aap jannat ke darkhton ke patto se apne badan ko dhaankte the, kuchh dinon ke baad wo patte sukh kar bagair kaam ke aur khatm ho jate the, Allah ta’ala ne hz. Aadam [al.] ko ilhaam-dil me dalne ke zariye kapdaa bunne ka hunar sikhaaya,aur aap ne kapdaa bun kar pehna, is tarah kapdaa bannane ke hunar ki kalaa kaarigari ka sab se pehla markaz Hindustan bana.  


1⃣2⃣. hz. Ibne abbas رضی اللہ تعالٰی عنہ se riwayat hai ke, hz. Nooh [علیہ السلام ] Hindustan me rahe the, yahin pat “Tannur” tha, jahaan se toofan shuru huwa, is “Tannur” ko hz. Aadam [علیہ السلام ] ne ta’amir kiya tha, yahin par ek pahaad ke upar hz. Nooh [علیہ السلام ] ne apni kashti ta’amir ki thi.  


1⃣3⃣. Hindustan me hz. Aadam [علیہ السلام] ki vafaat hui thi. aur hz.Aadam [علیہ السلام ] ke janaaza ki namaz hz. Shish [علیہ السلام ] ne padhayi thi.  

1⃣4⃣ 

Dakhsin (south) Hindustan ke purw (east) ke kinare Rameshwar dreep 

aur uttar (north) shirilanka ke pashimi (west) kinare mannardreep ko jodnewala pul (bridge) ko adam علیہ السلام ne banaya, aaj bhi ye pul adam pul-ramsetu ke naam se mavjood hai


🇮🇳IS TARAH HINDUSTAN MUSLAMANO KE LIYE KOI PARAYA MULK NAHI HAI, KE PARAAYI ZAMEEN NAHI HAI, YAHIN PAR UNKE PAYGAMBARON SE LEKAR UNKE BAAP DAADA DAFN HUWE HAI. 


📗GULDASTAH E TAFAASIR 1/175,176 SE MAKHOOZ


 📘khabare aaj tak weekly, magrol saurashtra ke 13 February 2009 me se liya gaya.


📓star publishers bharuch ki Gujarati kitaab "satya satya ane satya" ka tarjuma.


و اللہ اعلم


✏(mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO 


🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA



Report Page